Call barring meaning in hindi? complete define.

Is samay ese bahut kam hi log milenge jo mobile use nahi karte ho kyoki aaj ke time par lagbhag sabhi vyakti ke paas mobile hota hi hai. Generally hum mobile call karne ke liye hi rakhte hai par kya aap jante hai ki hume apne phone me call se related bahut sare options aur features milte hai jinka use hum kar sakte hai. Calling Features me se ek call barring hota hai. Call barring call setting ka ek bahut achcha feature hai. Aaj hum call barring meaning in hindi me janne wale hai aur aapko isi ke sath batane wale hai ki phone par call barring activate kaise karte hai.

Call barring meaning in hindi

Call Barring meaning in hindi full guide

Is feature ka use karne se pahle hume ise samajhna hoga ki hume ye option mobile kyo milta hai aur isko active karne se kya hoga kyoki jab tak ise hum samajh nahi lete tab tak is feature ka option sahi se nahi kar sakte hai. Kahne ka matlab hume call barring meaning pata hona chahiye Simple bhasha me kahe to Call barring ka matlab hota hai ki apne phone par aane aur jaane wali ya koi international call ko stop karna ya rokna. Hum ise Example ki madad se samjhte hai.


Agar aap chahte hai ki aapko koi bhi vyakti call nahi kar paye to aapko apne mobile ki Incoming call yani ki aane wali call ko band karna hoga jise aap call barring ki madad se kar sakte hai. Ab agar aap chahte hai ki Mobile ki outgoing call band ho jaye aur koi bhi vyaki ya aap khud bhi apne phone se kisi ko call na kar sake to iske liye bhi aap call barring use kar sakte hai.

Ummid hai ki aapko iska matlab samajh aagya hoga. Simply hum kah sakte hai ki Call barring meaning call ko band karna hai aur kuch nahi. Ab hume call barring ko activate karna sikhna hoga. Taki hum iska use kar sake.

Call Barring enable kaise kare.

Call barring ko activate karne me ek problem aati hai ki iske liye aapko ek password ki jarurat hoti hai aur ye password aapke mobile ka default code hota hai. Par bahut sare log hai jinhe apne mobile ka default code pata nahi hota hai to aap Internet ki madad le sakte hai. Lekin fir bhi call barring code nahi mil raha hai to aap apne mobile ka pura naam comment karke hame bataye hum aapke mobile ka barring code bata denge. To dosto agar aap call barring use karna chahte hai to niche humne post ka link provide kiya hai aap ise padh sakte hai. Isme humne detail se bataya hai ki call barring feature use karke kaise aap outgoing aur incoming call block kar sakte hai.


Call barring meaning to jaan liya par ise karne me ek problem hamesha aati rahti hai aur wo ye hoti hai ki kai baar aapka network (sim company) aapko call barring enable karne hi nahi deti hai to esi situation me hum ise use nahi kar sakte hai. Par esa kabhi kabhi hi hota hai me call barring use karta hu aur mujhe is tarah ki kabhi koi problem nahi aayi hai. Call barring ke liye hamne niche kuch steps bataye hai jisme humne international call band karne ke bare bataya hai. Agar aapko bhi international call block ya band karna hai to niche bataye steps follow kar sakte hai.

Call barring use karke Calls band kaise kare.

 STEP -: 1  Jis tarah se hum call forwarding on karte hai thik usi tarah se call barring ko enable kiya jata hai. Aapko sabse pahle apne phone ke dial pad par click karna hai. Aur fir right side me 3 dots par click karna hai. Jaha aapke samne 2 ya 3 option aate hai jisme se ek call setting ka option hota hai aap is option par click kare.

Call settings

 STEP -: 2  Ab aapko kuch options dikhaye jate hai jisme se ek calling account hoga is par click kare, Now aapke samne aapki sim dikhai jati hai agar aapka phone dual sim hai to dono sim show hongi nahi to ek sim dikhegi.

sim for call setting

 STEP -: 3  Jis sim par barring karna hai uspar click kare Fir uske liye kuch option diye jate hai jisme se ek call barring ka option hota hai. Jo Call forwarding ke bilkul niche hota hai. Aap call barring option par click kare.

Call barring option

 STEP -: 4  Jaise hi is par click kiya jata hai aapke samne Sabhi tarah ki calls – Incoming, Outgoing aur International call ke option diye jate hai aapko bas usi par click karna hai jise band karna chahte hai.

barring internation call

 STEP -: 5  Maan lete hai ki hume international calls band karna hai to aap is par click kare uske baad aapse call barring code manga jata hai jo ki aapke mobile ka default code hota hai. Jyada tar defalt code 0000 hota par agar aapko apne mobile ka default code janna hai to comment me apne mobile ka naam bataye.


Code dalne ke baad ok par click kar dijiye. Ab aapke isme international calls ke liye call barring hona shuru ho jayega

Call barring code in hindi

Ye kaafi aasan hai ab aap bhi ise try kijiye. Ab aapko samajh aagaya hoga yaha humne puri detail se call barring meaning in hindi aur isko enable karne ke bare me bataya hai. Last me hum bas aapko yahi kahenge ki calling ke is feature ko use karne me koi pareshani aati hai to hume bata sakte hai kyoki hum aapki madad ke liye uplabdh hai.

Leave a Comment