Facebook पर colorfull text ( Message ) कैसे लिखे?

Hum aapko aaj apni post me ek esi trick batane vale hai jo badi kamal ki hai. Facebook ke kuch latest features me se ek hai. Ab Facebook par hum apne Text aur message alag-alag colour ka use kar sakte hai aur hamare Text ko jyada beautiful bana sakte hai par yeh colorfull text aapko facebook app me hi dikhte hai agar aap browser me facebook use karte hai to aap color text ko use nahi kar sakte hai. Esliye aap Facebook ka app apne mobile me play store se download karle. Uske baad is trick ko try kare.  

Facebook color text kaise likhe

Fb color code ko apne facebook me bahut pahle lauch kar diya tha ab yeh ab popular hua hai aur in code ki madad se aap apne Text ko Multi color kar sakte hai. To dosto chaliye jan lete hai aur samjh lete hai ki facebook colourfull text ko likhne ka kya tarika hai aur yeh kaise kaam karta hai.

Sabse pahle pahle to yeh jaan lijiye ki aapko Text ka color change karna hai to aapko fb color code use karna hoga. Maine ek post me pahle hi sare color code de diye the par agar aapne vo post nahi padhi hai to koi bat nahi. Mai yaha ek aur color code list de raah hu jinhe aap use kar sakte hai.

 Codes Colors
<fg=b0800000> Brown
<fg=b0ffc0cb> Light Pink
<fg=b06f00ff> Navy
<fg=b0ffd700> Golden
<fg=b0ff7f00> Orange
<fg=b000ff00> Green
<fg=b0000000> Black
<fg=b0ff0000> Redish Pink
<fg=f0f00f0f> Red
 <fg=b0ffff00>  Yellow
<fg=b0b08080> Steel Grey
<fg=b00000ff> Blue
<fg=b0964b00> Light Brown
<fg=b0f000f0> Magenta
<fg=b08f00ff> Dark Purple
<fg=b0808000> Dark Green
<fg=b0bf00ff> Purple
<fg=b0ff00ff> Light pink
<fg=b0c0c0c0> Grey
<fg=b000ffff> Light Blue
<fg=b0ff00ff> Dark pink
<fg=80ffffff> Sky Blue

Facebook Color Text kaise likhe

 STEP -: 1  Sabse pahle aap apne mobile me Facebook lite app ko download kare ise aap Play store se ya phir niche diye link par click kare download kar sakte hai.


 STEP -: 2  Facebook Lite download karne ke baad aap apni facebook id se log in kare.

 STEP -: 3  Log In hone ke baad aapke samne facebook ka home page hoga aur ab aapke samne facebook ka homepage hoga aur ab aapko post box par click karna hai.

 STEP -: 4  Ab aap jo bhi post karna chahte hai vo post likhe par usse pahle vo code likhe jis colour me aap post likhna chahte hai. Man lijiye ki hume blue color me post likhna hai to aap blue color ke code ko likhe phir apna text likhe. Aap niche diye example ko dekh kar aasani se samjh jayenge.

color text dale

Example –

<fg=b00000ff>SupportMeIndian

Kuch is tarah se aapko Text likhna hai aur Publish karna hai. Jisse ki aapke text ka color blue ho jayega kuch is tarah se.

Facebook color post kaise likhe

SupportMeIndian

आप इसी तरह से किसी भी कलर को इस्तेमाल कर सकते है और अपने text को रंगीन बना सकते है।

Dosto aaj humne sikha ki kaise facebook par color text likhte hai aapko hamara post achchha laga hoga aur yeh trick majedar lagi aur ese hi trick agar aap roj hamari website par dekhna chahte hai to hamari website ko subsribe kare aur is trick ko apne dosto ke sath share kare.

Leave a Comment