Famous kon nahi hona chahta hai sabhi ko famous hona hai uska ek tarika hai google par apne photo ko dalna aur apna koi bhi photo google par kaise dalte hai, Google par photo dalna jyada mushkil nahi hai
Lagbhag sabhi log google par apna photo upload karna chahte hai kyoki wo bhi internet par famous ho sake sabhi ke man me ye aata hai ki jab bhi koi hamare bare me internet par search kare to hamara bhi photo google par aaye isliye to me aapko aaj kuch esi tips aur tarike batane wala hu jiski madad se aap aasani se apne photo google par daal sakte hai. Jaisa ki aapko pata hi hai ki Jab bhi hum kisi celebrity ko google par search karte hai to hame uske photo dikhte hai, esa isliye hai kyoki in logo ke photo google par dale ja chuke hai par ek baat aapko clearly bata dete hai ki google ek search engine hai isliye yaha par hum kuch bhi khoj sakte hai par yaha par hame koi upload ka option nahi milta hai is liye google par kuch bhi upload nahi kiya ja sakta hai.
Ab sawaal ye uthta hai ki google par photo upload kaise kare, to iska jawaab hai google ki services aur products, ye bilkul sach hai ki inka use karke aur inki madad se hum google image search me khud ka photo dekh sakte hai, aur is tarah se hum apne photo internet par daal sakte hai.
Google Par photo kaise dale hindi me tarika
Hum Aapko kuch tips dene wale hai agar inhe follow karoge to beshak aapke naam ko koi search karega to aapka photo bhi google us vyakti ko dikhayega.
Mathod -: 1
Agar aap image search engine me jaldi se jaldi apne photo ko lana chahte hai to sabse pahle baat aati hai website ki, agar aapke paas site nahi hai to pahle aap apne liye ek website ya blog bana sakte hai.
- apne photo ko site par dalne se pahle use rename kare aur usme wo naam use kare jiske bare me image hai.
- Image ko website par upload karne ke baad image alt tag use kare.

Mathod -: 2
Google ka photo upload karne ke liye dusra sabse achha tarika hai social media. Ji ha wo sare social network jo aap roj use karte hai. Social network me Google+ photo ko google par show karne ke liye sabse achha social media hai kyo ki ise google ne hi banaya hai aur ispar account banane ki jarurat nahi hoti hai hame bas apni gmail id se isme sign in karna hota hai aur ye open ho jata hai. Halaki ye facebook, twitter jitna popular nahi hai, par apna photo search engine me dikhane ye bhi hamare bahut kaam aa sakta hai hame bas apne photo ko google+ par upload karna hai, hamara photo kuch samay me dikhne lagega.
Iske alawa aap facebook aur twitter ka bhi use kar sakte hai, par photo upload karne se pahle aapko kuch requirments ko follow karna hoga jaise ki photo ko naam badalna hoga aur photo ki puri jankari bharni hogi and sabse jaruri ki photo kahi se copy na kiya gaya ho. Iske alawa aap Instagram par aur pinterest par image ko jankari ke sath upload karke bhi internet par la sakte hai.