Ab agar aapko bhi yahi problem face karna padh rahi hai to sabse pahle aapko iska kya kaaran hai usko pata karna hoga aur uske baad usko thik bhi karna hoga aur yeh sari chije aap khud hi kar sakte hai aapko kisi dukan par jaane ki jarurat nahi hai. Ab agar call nahi aarahi hai to uske piche jo kaaran hote hai ab hum unhe dekh lete hai aur unko thik kaise karte hai yeh bhi jaan lete hai.
Incoming call nahi aa rahi hai to kya kare.
Hum yaha par incoming call nahi aane ke kuch kaaran aapko bata rahe hai agar aap inhe thik kar lete hai to aapke mobile me incoming call aana shuru ho jayenge. To dosto chaliye dekhte hai ki call nahi aa rahe hai to iske piche kya reason ho sakte hai.
Call divert ka active hona
Sabse pahle agar kisi ki baat ki jaye to wo hota hai Call divert ka active hona. Jab aap is service ko active karte hai to aapki incoming call dusre number jo aapne dale the iski setting karte samay us par chali jati hai par, isko baad me hame band bhi karna padta hai kyoki ye apne aap deactivate nahi hoti hai aur agar aap ise band nahi karte hai to aapki calls dusre number par hi jati rahegi. Aap call divert kaise hataye is post ko padh sakte hai isme aapko puri detail se iske bare me pata chal jayega. Dosto yahi incoming call nahi aane ka ka main kaaran hota hai. Ab hum dusra wala dekhte hai.
Sim Card ka cracked ho jana
Dusra karan hota hai khud aapka sim card ji ha dosto yah bhi ek karan ho sakta hai. Agar aapne sim lagane me koi galti kardi hai jisse sim me koi crack aajaye to aapka sim work nahi karega. Ya fir aapne apne sim ko adhar card se link nahi karwaya hai to bhi aaj kal sim band kar diye jate hai. So aap ye confirm karle ki aapka sim chal bhi raha hai ya nahi. Agar aapke paas call nahi aa rahi hai to ho sakta hai ki aapka sim card hi band ho aur agar sim band hai to aapko use reactivate karwana hoga. Aap iske liye Sim Reactivate kaise kare is post ko padh sakte hai.
Call Barring ka on hona
Ab baat aati hai call barring ki call barring ek esi setting hoti hai jiski madad se aap badi hi aasani se apne phone par aane wali incoming call aur out going call ko band kar sakte hai. Ese me agar aapne call barring ko apne phone me chalu kar diya hai to aapke phone par call nahi aarahi hogi. Isliye ye aapko call barring ko check karna hoga agar ye service phone me active hai to aap call barring ki jankari is post ko padhe isme aapko call barring ko hatane ke bare me jankari mil jayegi.
Area me Network problem hona
Agar aapke sim me network se related koi problem hai to bhi aapko yeh problem ho sakti hai iske liye sabse pahle ye dekhe ki aapka sim kis company ka hai aur jaha aap rahte hai waha par aapki sim me tower mil bhi rahe hai ya nahi, ab agar aapke sim par tower nahi aate hai to app call nahi kar payenge us area me iske liye aapko ek aur sim card kharidna hoga jiska achcha tower aapke area me milta ho. Ya aap chahe to apne sim ko kisi aur company par transfer kar sakte hai aap sim card port kaise kare is post ko padh kar apne purane sim ki company ko change kar sakte hai.
Mobile ya sim slot damage ho jana
Last me agar hum kisi ki baat kare to Mobile me sim card slot ka tut jana ya damage ho jana bhi ek kaaran ho sakta hai vaise to aaj kal ke phone me aapko trey wala sim card slot milta hai par purane phones me to wahi purana wala slot hota hai. Agar aapka sim slot yani ki jaha par aapka sim lagta wo cracked ho gaya hai to aapko use check karna hoga iske liye aap kisi dusre ka sim jo chalu ho use laga kar dekhe agar uska sim aapke phone me nahi chal raha hai to iska matlab hai ki aapka sim slot cracked hai. So aapko ise thik krwana hoga.
Dosto finally yahi kuch karan hote hai agar aapke paas incoming call nahi aa rahi hai to aap inhe thik kar sakte hai jiske baad aapke paas calls aane lagegi. So dosto ye post aapki puri help kar hi degi fir bhi aap comment karke humse puch sakte hai. Agar aapko hamari di hui jakari achchi lagti hai to aap ise apne friends ke sath share kare aur hamari website ke bare me bataye aur esi hi jankariya roz paane ke liye abhi subscribe kare hamare blog ko taki hum kuch bhi new article likhe to aapko uske bare me pata chal sake.