Jio phone me hotspot kaise chalu kare?

Jesa ki aap sabhi jante hai ki Reliance Jio Telecom company ne apna Jio phone launch kiya tha. Jio phone kam budget me ek featureless phone tha jo ki user ko kai sari facility deta hai. Jio phone me kai sare hidden features bhi hai. Jisme se ek Jio WiFi hotspot bhi hai. Agar aapko nahi pata hai ki Hum Jio phone me WiFi chalu kaise kare. To is post ko jarur padhe. Kyonki aaj hum aap logo ko Jio phone me WiFi hotspot kaise chalaye iske bare me batane vale hai.

Jio phone me hotspot kaise chalaye

Jesa ki humne pahle jana tha ki kis tarike se hum Jio phone me whatsapp chala sakte hai yeh bhi ek hidden feature tha kyonki logo ko yeh to pata tha ki jio phone me whatsapp chalta hai par yeh nahi pata tha ki jio phone me whatsapp kaise chalte hai.

To chaliye dosto jayada time na lete huye jante hai ki. Jio phone me WiFi hotspot kaise connect kare aur Jio phone me Wifi hotspot kaise chalaye?

WiFi hotspot kya hota hai?

Wifi hotspot ka upyog ek device ke internet connection ko dusre device ke sath share karne ke liye kiya jata hai. WiFi join karne ke baad se Internet data share karne vale vyakti ke device me bhi internet chalu ho jata hai. Agar aap bhi apne apne Jio phone me WiFi hotspot ka use karna chahte hai To post puri jarur padhe.

Agar kisi phone me hotspot chalu hai to aap apne jio phone me wifi on karke us phone ka internet chala sakte hai. Jio phone me hotspot on karne ka tarika bahut aasan hai aap niche bataye hue steps ko achche se follow karte jaye.

Jio phone me Hotspot kaise chalu ya on kare.

Jio phone me WiFi use karne ka tarika bahut hi aasan hai. Iske liye niche batayi gayi steps ko follow kare.

Step1: Sabse pahle Jio phone Setting me jaye.

Step2: Setting me jane par network and connectivity me WiFi ka option milega ise open kare.
Step3: Wifi me jane ke baad aapko On aur Off ke option dikhai denge tab Jio phone me WiFi on kare. Jab aap WiFi ko on kar denge. Sirf tab hi Jio phone uski range me available sabhi Hotspot ko search kar payega.

Step4: Ab niche Available Networks me jana hai tab Jio phone nearby hotspot ko search karega. Aur sabhi Hotspot ko show karega. Available networks me se kisi bhi network ko select aur Password dal kar Connect kar sakte hai.
 
Lekin agar Wifi hotspot Hidden hai ya show nahi kar raha hai. To aapko Manually Jio Wifi hotspot Connect karna hoga. Niche Steps ko follow kare. Step3 tak same steps ko follow karna hai. Phir uske bad yeh steps ko follow kare.

Step4: WiFi On karne ke baad me Advance setting me jaye aur Manage network ke option ko open kare.

Step5: Ab Join hidden network ko select kar open kare. Yaha par Network name, network type, Password enter kare.

To jio phone me hotspot chalane ka tarikaa bahut aasan hai dekh sakte hai. Aap Apne Jio phone me WiFi hotspot connect kar apne jio phone me chala sakte hai.Post achcha laga hai to aap hamari website ko subscribe jarur kare.

Leave a Comment