Outgoing Call setting, Call barring ki hi ek setting hai. Agar aap chahte hai ki mere mobile phone par Incoming call to aaye. Par koi bhi mere mobile se kisi ko call nahi kar paye to iske liye aapko, niche hume Mobile me Outgoing call band ya esa kahe Outgoing call band karne ka tarika bataya hai.
Ab aap soch rahe honge ki yeh sab kuch hume kisi App ki help karna padega. To aap galat soch rahe hai. Yeh facility hamare mobile ki Call setting me pahle se di huyi hoti hai. Ougoing Call off karne ke liye hume kisi dusre tarike ke android app ko install karne ya koi tarah ki service activate karne ki jarurat nahi hai. Bas niche batayi gayi in steps ko follow karte jaye.
Outgoing Calls kya hoti hai?
Outgoing Call, Jab Aap apne mobile phone me dial pad me jaakar kisi vyakti ko call karte hai aur usse bat karte hai to is ki jane vali call ko Outgoing call kahte hai. Aasan shabdo me kahe to jab hum kisi ko call karte hai to ise outgoing call kaha jata hai. Chaliye ab jante hai ki is tarah ki call kaise band kare..
Outgoing Call band kaise kare.
Dosto jesa ki maine upar bataya es setting ko On karne ke baad koi bhi vyakti. Aapke mobile se call nahi kar payega. Aur tab tak call connect nahi kar payega jab ki aap is setting ko Off/Disable nahi kar dete hai. To chaliye jante hai ki mobile se lagne vali Sabhi calls ko band kaise karte hai?
STEP -: 1 Phone ke Dialpad me jaye aur Call Setting icon par click kare. Ab aap Settings me enter ho chuke hai.
STEP -: 2 Yaha Outgoing Call band karne ka option aapko direct nahi milega. Iske liye niche ki side drag kare. Vaha par Advance setting/More setting ke name se ek setting option milega us par click kare. Ab yaha aapko Call barring setting me jana hai.

STEP -: 3 Call barring ko select karne ke baad jis sim ke liye outgoing call band karna chahte hai use select kar lijiye.
Agar aapke phone me 2 Sim card hai jaise – 1- Airtel, 2- Idea hai aur aap Airtel number ke liye outgoing calls ko band karna chahte hai. To Airtel par click kare. Mere phone me 2 Airtel sim hai. Aur mai pahle vale sim ki Outgoing call band karna chahta hu.
STEP -: 4 Ab Aapke samne Call barring ki sabhi condition dikhai degi. Hum yaha par Abhi sirf Outgoing Call ko hi band karna chahte hai. Isliye sirf Outgoing Call settings ko hi change karenge. Yaha par Outgoing Calls ke liye 2 options dikhai denge.
1. All Outgoing Calls: Agar aap sirf ise on karenge to aap sirf local (India) ke number par hi call nahi kar payenge.
2. International Outgoing Calls: Aur agar is on karte hai to phir koi International number par bhi call payega.
Esliye jesi aapki jarurat ho vo setting on kare. Mere hisab se International call to koi karega nahi esliye sirf All Outgoing Calls ko On kar dijiye.
STEP -: 5 Ise on karne par Aapko apne phone ka default password dena hoga. Uske baad hi yeh On ho payega. Finally aapke isme outgoing call band ho jayegi. So ab aapko samjh aagya hoga ki outgoing yani ki jane wali call kaise band kare post achcha laga hai to ab ise share kare.
Phone ka Default password aap nahi jante hai to Internet par Apne mobile name & model ke pichhe Default password likh kar search kare. Aapko kai sari website mil jayegi joki aapke phone ka Default password bata degi. Jyada tar phone me default password 0000 hota hai aap ise try kar sakte hai nahi to comment me apne phone ka naam bataye hum aapko phone ka default password bata denge.